A poem on environment
Kabhi Socha Hai
Kabhi socha hai us machhli ke baare mein,
jab us ke mooh mein tumhara pheka hua plastic ka tukda atak jata hai,
aur wo pani me reh kar bhi, tadap tadap kar dam tod deti hai...
Kabhi socha hai,
Gali ke us Tommy ke bare mein,
jab wo tumhare pheke hue kude se plastic chabane ki koshish karta hai,
aur wo uske gale mein atak jaati hai,
wo idhar udhar bhagta hai,
par koi pani bhi nahi poochta,
aur wo tarah tarah ke awazein nikal kar thak jata hai,
magar koi uski madat nahi karta aur wo bebas ho kar gir padta hai...
Kabhi socha hai kya hota hai us gaay ka,
jo kachde mein se plastic kha kar mar jaati hai...
Kya hota hai tum ek bar istemal kar ke jise phek dete ho idhar udhar wo zeher ban kar kisi bezuban ki maut ka karan ban jate hai...
Tum insan ho, tumhare saath ehsas hai, tum mehsoos kyu nahi karte un bezubano ke dard ko, tum insan ho, tum aqal ke malik ho
kya tumhe unki halat unki bebasi samajh nahi aati ?
# bezubano ki madat Kare...
Kachda yahan wahan na phenke
Pl
0 Comments